Intro
Hello dosto aap sabhi ka swaagat hai ek aur anime Review me aur aaj ham Erased Anime ka Review Hindi me krne wale hai so ready ho jaiye iske bare me janne ke liye fikaar mt kariye ye ek dum spoiler free review hoga so apne agr is anime ko abhi tak nhi dekha hai to koi baat nhi aur is review ke bad dekh lena.
Erased Anime Review in Hindi
Erased ya Japanese me boku dake ga inai Machi ek 12 episode ki anime series hai, jisse direct tomohiko Ito ne kiya Jo sword art online ke one of the primary directors me se ek hai aur death note ke bhi. Ye Kahani hai ek larke ki jiska naam saatoru hota hai aur uske pass ek khaas power hoti hai jise wo Revival bulaata hai. Uske aas pass jab bhi kuch accident hone wala hota hai wo future me thoda aage jaake dekh leta hai halaaki use exactly pata nahi hota ki Kya bura hone wala hai pr use andaaza hota hai ki kuch bura hone wala hai aur kaha, to jab wo present me wapis aata hai to uss accident ka pata lagaake use rokane ki koshish krta hai. Pehle episode me to yahi dikhate ki wo iss power ka use car ya bus accident hone se rokane ke liye ya chote mote accidents ko rokane ke liye krta hai. Ek din achanak se wo khud ko chote bache ke Roop me pata hai wo pehle kuch hi minutes piche jata tha pr wo iss baar 12 saal piche jaa chuka hota hai. Aur yahi nahi use ye bhi pata lagana hota hai ki wo kis wajah se itna saal piche aaya hai aur uski main story yahi se suru hoti hai.
Waqt ke sath uske aas pass ajeeb cheeze hone lagti hai aur use ek murder mystery solved krni hoti hai Bache ke Roop me lekin uska dimag abhi 29 saal ke adult jitna hi hota hai aur iss mystery ke solve krne ke sath sath use apne school grades ko bhi maintain krna hota aur friends ko time Dena hota. Aur ye kaafi awesome hai iski Kahani aur jaise jaise waqt ke sath iska plot intresting hota jata hai. Ye ek alag hi level ka phychological thriller anime hai aur iss anime ki ek aur baat mujhe bahut pasand aayi wo ye hai ki iska sense of humor kaafi brilliantly written hai.
Iss anime ka sabse bada arc ek larki ke around hota hai jiska murder hota hai. Ab bade saatoru ko pata hota hai ki iss larki ka murder hua hota hai to use lagata hai use iss larki ko hi bachana hai tabhi wo wapis jaa payega apne present me. Wo larki introvert hoti hai to usse connect hone me ya baat krne me saatoru ko bahut mehnat krna parata hai aur ye part plot ka kaafi touching hota hai. Maine bahut saare anime dekhe hai but phir bhi jitna emotionally connect isse hua hu sayad hi kisi aur anime se hua hounga. Ye anime utna acha hai. Isliye Mai iss anime ko highly recommend krunga.
Satoru’s Mom

Saatoru ki mom sayad duniya ki best mom hai wo sarcastic hai aur literally Jo bhi saatoru krne wala hota hai use pehle hi predict kr deti hai. Aur saatoru ko bachapan se hi Jo bhi chahiye hota hai wo use laa ke deti hai exact ussi time pe jab use chahiye hota hai. Waise iski story kaafi dark hai I mean ye anime ek serial killer ke bare me hai Jo young girls ko kidnap kr Raha hota hai aur use rokane ke liye humara hero time me piche jaake bache ki body me adult brain ke sath hota hai but pure hi time ye anime kaafi light and humour mood set krta hai Jo ki khud me hi kaafi unique hai agar aap dhyan de to. Ye detective based Kahani hai ek Bache ki 29 saal ke adult ke dimag ke sath aur yahi nahi isme time travel bhi hai to iska plot kaafi intresting and unique rehta hai. Mujhe laga ye anime bacho ki hai to thoda creepy ho jayega but nahi iske writers ne story pe kaafi achi grip banaayi rakhi aur har ek episode kaafi thrilling story rehti hai.
Iss anime ki sabse khaas baat iski writing hai kyuki ye anime physiological dark hai to isme parental abuse aur serial killer wala aspect bhi hai lekin writers ne inko kaafi pyaar se aur sahi tarike se handle kiya hai aur iss anime portraion bhi kaafi Gazab hai. Iske story me bahut sare aspects hai jinko sahi se deal krna kaafi muskil hai lekin ye anime iss kaam me kaafi acha kiya, episode 1 se leke pure episode 12 tak Mai pura hi Kahani me involve tha Jo ki kaafi rare hai mere liye.
Haa lekin mujhe haalki killer kaun hai ye 7 episode Tak hi samajh aagya but phir bhi kahaani itni achi thi aur sub plots itne ache the ki Mai iss anime ko dekhta Raha aur Maine kaafi enjoy kiya. Ek anime ya kisi bhi content me aapko yahi chahiye hota ki iski kahaani aapko ekdum man mohit rakhe Jo ye anime krta hai. Iss anime ke character development dekhne me bhi kaafi maza aata hai. Kuch log iska season 2 chahate pr mujhe lagta ki iski story ekdum best tarike se end hui hai agar season 2 banta to mai dekhunga lekin I think iski kahani yahi Tak kaafi ache tarike se khatam ho gayi hai. Iss anime ka live action movie hai Netflix pe Jo ki utni achi to nahi pr dekhne layak hai agar aap dekhna chahte to dekh sakte hai.
Music Composing
Thriller and mysterious genre ki jb baat ati hai to music ka sabse ehem role hota hai, audience ko apne sath bnaye rakhne ka. Is anime me music, ost aur opening song, ending song lajwab hai, jb mai is anime ko dekh rha tha tab mere dimag me unka music bajta rehta tha, Mujhe ending or opening ki rhythm achhe se yaad ho chuki thi.
Ye anime music wale part ko bohot achhe se maintain kiya hai, No Doubt!
Outro
mujhe umeed hai apko ye Erased Anime ka Review in Hindi Pasand aya hoga aur ese hi Review ke liye Hamari website ko follow krna mt bhoolna, chalta hoon guys anime dekhne bye bye.
Social Media Accounts
WAGroup | Facebook Page | YouTube Channel | Instagram | Twitter | Telegram | Discord
Thanks For Visiting Here Please Share with Your Friends and Keep Supporting.
Korean Drama Review – click here
[…] Erased Anime Review in Hindi […]
[…] Read More Anime Reviews – Click Here […]
[…] Erased Review […]
[…] Read More Anime Reviews – Click Here […]
[…] Erased Anime Review in Hindi […]